Gusl kya hai? Kab farz hota? Kaise krte hain?by mdayub6919

Kahte Hain?Mdayub6919

Ghusl Arabic word hai jis ki meaning bath ya nahana, wahi bath jo hum everyday karte hain.

Ghusl Kab Zaruri Hota hai?

4 chizon ke baad ghusl zaruri hota hai:

(1) Intercourse (Jema) Ke Baad

Interourse ya jema ke baad ghusl zaruri hota hai,  yani begair ghusl ke aap namaz ya َQuran nahi padh sakte, Intercourse me semen ya mani ka exit hona zaruri nahi hai agar thoda bhi Intercourse hua ho tab bhi ghusl zaruri hai, jaisa ki hadith me aaya hai:
عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، أَنَّ نَبِيَّ اللهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ: «إِذَا جَلَسَ بَيْنَ شُعَبِهَا الْأَرْبَعِ ثُمَّ جَهَدَهَا، فَقَدْ وَجَبَ عَلَيْهِ الْغُسْلُ وَفِي حَدِيثِ مَطَرٍ وَإِنْ لَمْ يُنْزِلْ. (صحيح البخاري: 291، صحيح مسلم: 348).
Translation: Hazrat Abu Hurairah (R Z) se riwayat hai ki: Nabi Kareem (S A W) ne farmaya ki: “Jab aadmi aurat ke sath intercourse karne ke liye try kare to un dono par ghusl zaruri hota hai semen ya mani nikle ya na nikle”. (Bukhari: 291, Muslim: 348).

(2) Semen exiting (Mani ka nikalna) And Nightfall Ke Baad
Mdayub6919

In case of lust (shahwat ki halat me) semen ya mani ke nikalne se bhi ghusl zaruri hota hai, chahe so raha ho ya jaag raha ho, mard aur aurat dono ke liye yahi hukm aur order hai:
  عَنْ عَلِيٍّ، قَالَ: سَأَلْتُ النَّبِيَّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ عَنِ الْمَذْيِ، فَقَالَ: مِنَ الْمَذْيِ الوُضُوءُ، وَمِنَ الْمَنِيِّ الغُسْلُ. (سنن الترمذي: 114).
Translation: Hazrat Ali (R Z) kahte hain ki: mai ne Rasulullah (S  A W) se mazi (private part se semen se pahle ya baad me jo les dar cheez nikalti hai) ke bare poocha ki kya is se ghusl wajib hota hai? to aap ne bataya ki: “mazi nikalne se wazu zaruri hota hai, aur mani ya semen ke nikalne se ghusl zaruri hota hai”. (Sunanut Tirmizi: 114).

Woman ke nightfall ke bare me ek hadees me aaya hai:

عَنْ أُمِّ سَلَمَةَ، قَالَتْ: جَاءَتْ أُمُّ سُلَيْمٍ إِلَى رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ فَقَالَتْ: يَا رَسُولَ اللَّهِ إِنَّ اللَّهَ لاَ يَسْتَحْيِي مِنَ الحَقِّ، فَهَلْ عَلَى المَرْأَةِ مِنْ غُسْلٍ إِذَا احْتَلَمَتْ؟ قَالَ النَّبِيُّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: «إِذَا رَأَتِ المَاءَ». (صحيح البخاري: 130، صحيح مسلم: 313).
Translation: Hazrat Umme Salmah (R Z) kahti hain ki: Hazrat Umme Sulaim (R Z) rasulullah (S A W) ke paas aa kar poochne lagin ki: ai allah ke rasool allah tala haq aur zaruri baat se nahi Sharmata, to aap mujhe batayen ki: aurat ko agar nightfall ho jaye to us par ghusl zaruri hota hai? Aap ne jawab dia: “Han agar semen ya mani dekhe”. (Bukhari: 130, Muslim: 313).
Note: nightfall me agar khoaab yaad ho aur semen ya mani ka bhi asar ho to ghusl zaruri hoga, aur agar khoaab yaad ho lekin mani ka asar na ho to ghusl zaruri nahi, aur agar khoaab yaad na ho aur semen ka asar ho to ghusl zaruri hai. (Sunanut Tirmizi: 113).

(3) After period of women (Haiz ke baad)

Jin chizon se ghusl wajib hota hai un me se tisri cheez aurat ka period hai, jab aurat apne period se farigh ho jaaye to us par  ghusl kare, phir namaz start kare.
Masla:  Period ki halat  me chhoti huyi namazon ki qaza zaruri nahi.
Masla: Period me chhoote huye rozon ki Qaza zaruri hai, aurat un ko period ke baad pura kare.
Masla: Period ki halat me aurat ka Quran padhna, us ko hath lagana, Masjid me dakhil hona, Khana Kaba ka Tawaaf karna, ya apne husband ke sath Intercourse karna jayez nahi hai.
Masla: Jis aurat ka period 10 days se zada ho jaye wah ghusl karke namaz start kare, aur har namaz ke liye wazu kare ghusl zaruri nahi.

(4) Nifaas Ke Khatam Hone Ke Baad

Bachcha paida hone ke baad aurat ko jitne din bleeding ho us ko nifaas kahte hain, roza, Namaz ogairah ke bare me nifaas wali aurat ke wahi masayel hain jo period wali aurat ke hain.
Nifaas ki kam se kam muddat ya time ke bare kuchh kahna mushkil hai, kyun ki ho sakta hai ki kisi aurat ko bachcha paida ho aur bleeding bilkul na ho, han us ka time zada se zada 40 din hai, us ke baad aurat ke liye ghusl kar ke namaz ogairah  padhna zaruri hai.
Masla: Jis aurat ki bleeding 40 din se pahle band ho jaye use chahiye ki naha dho kar roza namaz start kar de.
عَنْ أُمِّ سَلَمَةَ، قَالَتْ: كَانَتْ النُّفَسَاءُ تَجْلِسُ عَلَى عَهْدِ رَسُولِ اللهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ أَرْبَعِينَ يَوْمًا. (سنن الترمذي: 139).
Translation: Hazrat Umme Salmah (R Z) kahti hain ki: Rasulullah (S A W) ke zamane me nifaas wali aurten 40 din tak baithi rahti thin, yani namaz , roza wagaira nahi kari thin. (Sunanut Tirmizi: 139).

Ghusl Me Kitne Farz hai?

Ghusl 3 farz hain: (1) Kulli karna. (2) Naak me pani daalna. (3) Pure body par ek baar pani daalna ki koyi part dray ya khushk na rah jaye.

Gusal Karne Ka Sunnat Tarika

Napaki ki halat me ghusl ka tarika Bukhari aur Muslim Shareef ki hadees me is tarah aaya hai:
عَنْ عَائِشَةَ، قَالَتْ: كَانَ رَسُولُ اللهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ إِذَا اغْتَسَلَ مِنَ الْجَنَابَةِ يَبْدَأُ فَيَغْسِلُ ِلصَّلَاةِ. يَدَيْهِ. ثُمَّ يُفْرِغُ بِيَمِينِهِ عَلَى شِمَالِهِ فَيَغْسِلُ فَرْجَهُ. ثُمَّ يَتَوَضَّأُ وُضُوءَهُ للصلاة، ثُمَّ يَأْخُذُ الْمَاءَ فَيُدْخِلُ أَصَابِعَهُ فِي أُصُولِ الشَّعْرِ. حَتَّى إِذَا رَأَى أَنْ قَدْ اسْتَبْرَأَ حَفَنَ عَلَى رَأْسِهِ ثَلَاثَ حَفَنَاتٍ. ثُمَّ أَفَاضَ عَلَى سَائِرِ جَسَدِهِ. ثُمَّ غَسَلَ رِجْلَيْهِ. (صحيح البخاري: 273، صحيح مسلم: 316).
Translation: Hazrat Aisha (R Z) kahti hain ki: nabi kareem (S A W) jab Ghusl e Janabat karte to sab se pahle apne hatho ko dhote, us ke baad right hand se pani dalte aur left hand se apne private part ko dhote, us ke baad wazu karte the jaise namaz ke liye wazu kiya jata hai, us ke baad pani daal kar balon ki jaron tak pahonchate, us ke baad apne sar par 3 baar pani dalte, us ke baad pure badan par pani dalte, aur aakhir me pair dhulte. (Bukhari: 273,  Muslim: 316 )

Hadees Ka Matlab

Aap (S A W) ke ghusl ka tarika jo hadees me aaya hai us me wah sari baten aa gayi hain jo ghusl me zaruri hain for example: Kulli karna, naak me pani dalna, pure badan pe pani dalna, us ke elawa hadees me jo chizen aap ne ghusl se pahle ki hain wah sab sunnat hain, hum ko bhi usi tarah ghusl karna chahiye.
Masla: Ghusl ke baad agar koyi fauran namaz padhna chahe ya Quran padhna chahe to padh sakta hai us ke liye ghusl wala wazu kafi ho jaye ga.
Masla: Ghusl karne ke baad agar yah maloom ho jaye ki mere jism ka koyi part abhi nahi bhiga hai to ghusl phir se ghusl karna pade ga.
Masla: balon ki jaron tak pani pahochane ke liye aurat ka apni vig ya choti ko kholna zaruri nahi, bas pani dalna hi kafi hai.

Ghusl Ki Dua In Arabic

Ghusl se pahle بسم الله الرحمن الرحيم  jaise har kaam ke starting karte hain, aur ghusl ke baad yah dua padhe:
أَشْهَدُ أَنْ لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَحْدَهُ لاَ شَرِيكَ لَهُ، وَأَشْهَدُ أَنَّ مُحَمَّدًا عَبْدُهُ وَرَسُولُهُ، اللَّهُمَّ اجْعَلْنِي مِنَ التَّوَّابِينَ، وَاجْعَلْنِي مِنَ الْمُتَطَهِّرِينَ. (سنن الترمذي: 55

Comments

  1. Shab E Barat Ki Raat Ki Fazilat शबे बारात की रात की फ़ज़ीलत हिंदी में Shab e barat ki raat ki fazilat in hindi...
    shab-e-barat-ki-fazilat in hindi

    ReplyDelete

Post a Comment

Thnk you frnd for cmmnt

Popular posts from this blog