Pyare Nabi sallallahu alaihi wasallam ki Pyari SUNNATEIN

Pyare Nabi sallallahu alaihi wasallam ki Pyari SUNNATEIN I am mohammad ayub Facebook. Twitter Ap sallallahu .alayhiwasallam ki sunnatein Zindagi Sunnat ke mutabiq guzare aur Allah Pak ke mehboob banjaye. NAQSH E QADAM NABI KE HAIN JANNAT KE RAASTE, ALLAH SE MILATE HAIN SUNNAT KE RAASTE Hadees mai hai ke Nabi (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne irshad farmaya: Jis Shakhs ne Meri Sunnat ki Hifazat ki (Dil o Jaan se isko mazboot pakda aur ispar amal kiya) to ALLAH Ta'ala 4 baaton se iska ikraam karega. 1) Nek Logo ke Dilo me iski Mohabbat paida karega. 2) Fajir aur Badkar Logo ke Dilo me Haibat daal dega. 3) Rizq me Wus'at aur Barkat ataa karega. 4) Deen me pukhtagi Naseeb farmayega. (Sharah Sharatul Islam: Page:8, Syed Ali Zadah) *******{ Wazu aur Miswak ki Sunnatain }******* Jub zarurat se farig hon to wazu karna chahiye aur jub wazu Karen to in sunnaton ka lihaz rakhen, hamara wazu hamare Rasool sallaallahu alaihi wasallam ki pyari sunnaton k sath ada hojaye. Kis qadar khush nasibi ki baat hai. 1. wazu se pehle (bismillahir rahmanir rahim) padhiye.(bukhair,muslim) 2. wazu k shuru me dono hath gatton tk teen martaba dholijiye.(bukhari,muslim) 3.Chahra dhone se pehle kulli kijiye aur naak saaf kijiye.(bukhari,muslim) 4. bayen hath se naak saaf kijiye.(bukhari,muslim) 5. kulli krne aur naak saaf krne me mubaliga kijiye, han!agar roze daar hai to mubalga na kijiye, aik hath se kulli krna aur aik hath se naak saf kijiye, Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ne aik hath se kulli ki aur aik hi hath se Naaksaf kiya.(bukhair,muslim) 6. wazu me kulli krte waqt miswak kijiye.Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ne farmaya:Agar meri ummat per ye baat shaq (mushkil) na guzarti to mai unhe har wazu k sath miswak ka hukum deta.(ahmed,nasai). 7. Agar dadhi ghani ho to Chahra dhote huwe dadhi ka khilal bhi kijiye Huzoor sallaallahu alaihi wasallam wazu me apni dadhi ka khilal kiya karte the.(tirmizi). 8. Poore sir ka masah kijiye jaisa k mash karne ka masnoon tariqa hai. 9. hato aur pairon ki ungliyon ka khilal kijiye, Huzoor sallaallahu alaihi wasallamne irshad farmaya, wazu achhi tarah karo aur ungliyon k darmiyan khilal karo.(abudaood,tirmizi,nas ai) 10. haton aur pairon ko dhote huwe sidhijanib se shuru Karen, is tarah k pehle sidha hath phir baya hath pehle sidha pair phir baya pair dhoyen, Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ko joote pehenne aur pakizgi hasil krne wagaira me sidhi janib se shuru krna psnd tha.(bukhair,muslim). 11. Har azu ko aik martaba se zyada yanido do martaba ya teen teen martaba dhoyye, jaisa k hadees me hai k Aap sallaallahu alaihi wasallam ne do do martaba bhi aaza-e-wazu ko dhoya aur teen teen martaba bhi, albatta 3 martaba se zyada na dhoye. 12. pani k istemal me aai’tedal se kaam lijiye, pani ka istemal had se zyada bhi na ho ko israf hojaye aur na bilkul kmk aaza bhi sahi tour per na dhule, Huzoorsallaallahu alaihi wasallam pani k Istemal mi Aitedal (miyanarvi) se kaam lete the. 13. Apne ghr me wazu kar k masjid jayye, Huzoor sallaallahu alaihi wasallamne Irshad farmaya, Jo Shaksh apne ghr me wazu krta hai phir allah k ghron me se kisi ghr ki taraf chl kar jata hai ta k Allah Tala k Farayez me se koi fariza ada kare to us k qadmon me se har aik qadam aik gunah ko mitata hai aur dusrahar qadam aik darja ko bulnd karta hai. 14. wazu se farig ho kar Allah Tala k Mabood hone ki aur Muhammad Arabi sallaallahu alaihi wasallam k Rasool hone ki Gawahi dijiye aur yun kahiye.("Ash hadu An laa iIlaaha illallaahu Wahdahuu Laa Sharikalahuu Wa Ashhadu Anna Muhammadan Abduhu WaRasooluhu" jo koi wazu k baad ye kalimaye shahadt padhta hai Jannat k Aaton Darwaze us k liye khul jate hai jis darwaze se chahe dakhil hojaye.(muslim) 15. wazu k baad 2 rakhat Namaz ada kijiye, Huzoor sallaallahu alaihi wasallamne irshad farmaya, Jis ne Mere wazu ki tarah wazu kiya phir 2 Rakat Namaz ada ki Aur un 2 rakat k ada karte hue koi Dunyawi Khayal dil me na Laye, us k pichle gunah muaaf Kar diye jayenge.(bukhari,muslim) 16. Har azu ko acchi tarah dhoyyen k har aik ka haq ada hojaye.(bukhari). *********{ Miswak}********** Miswak krna bhi aik aisi azeem sunnat hai k aik Musalman aik din aur aik raat me 15,20 martaba kam as kam miswak krskta hai, is tarah 15,20 martaba is sunnat k ada krne ka sawab is k naame aamal me likha jaye ga jo Zakhiraye Aakhirat bn jaye ga. Panch waqt Namazon k waqt miswak kijiye,Tahajjud,Awwabeen,C hasht,Ishraq,Wagaira k liye Miswak kijiye, Ghr me dakhi ho to miswak kijiye, Jaisa k Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ka amal bhi raha hai, Hazrat Ayesha R.A farmati hai k Huzoor sallaallahu alaihi wasallam jb ghrme Dakhil hote to sub se pehla kam ye hota tha k Aap sallaallahu alaihi wasallam Miswak Farmaya karte the.(muslim) Quran Majid ki tilawat k waqt, Muh me badbo k ehsas k w Allah hafiz dostoun dua me yad rakhna Post pasand aye share jrur krna.... Instagram

Mdayub6919

Comments

Popular posts from this blog