Wazu ke fraiz aur sunnatein by mdayub6919

Wazoo

Wazoo ke Faraiz aur Sunnaten

Farz use kehete hai jise karna zarori hai aur uske bagair wazu mukammil nahi hota,isiliye jab aap wazu karte hai to zyada ahtiyath rakhkhe ke jo hisse(parts) wazu me dhona farz hai use achchi tarikhe se dhole warna wazu nahi hoga aur jab wazu hi nahi howa to namaz bhi nahi hogi.

Wazoo Ke 4 Farz Hain

1. Chehera Dhona: chehera yahantak dhona ke, apne balo ki ibteda se leker thuddi ke niche tak aur ek kan ke lov(corner) se leker dusre kan ke lov tak

2. Apne donu haton ko koniyoun sameth dhona

3. Chauthayi sarka masa karna

4. Apne donu pairon ko takhno sameth dhona

Wazoo Ki Sunnaten

1 Niyat karna

2 BISMILLAH parhna

3 Dono hath pohancho tak 3 bar dhona

4 3 bar Miswak karna (agar ho to)

5 3 bar kulli karna

6 Roza na ho to ghar ghara karna

7 3 bar naak mein pani charhana

8 Darhi ho to aus ka khallal karna.

9 Hath paoon ki anguliyo ka khallal karna.

10 Pure sar ka aik hi bar masah karna

11 Kano ka masah karnaMdayub6919

Comments

Popular posts from this blog